jamegi kaise bisat-e-yaran ki shisha o jam bujh gae hain sajegi kaise shab-e-nigaran ki dil sar-e-sham bujh gae hain wo tirgi hai rah-e-butan mein charagh-e-rukh hai na sham-e-wada kiran koi aarzu ki lao ki sab dar-o-baam bujh gae hain bahut sambhaala wafa ka paiman magar wo barsi hai ab ke barkha har ek iqrar mit gaya hai tamam paigham bujh gae hain qarib aa ai mah-e-shab-e-gham nazar pe khulta nahin kuchh is dam ki dil pe kis kis ka naqsh baqi hai kaun se nam bujh gae hain bahaar ab aa ke kya karegi ki jin se tha jashn-e-rang-o-naghma wo gul sar-e-shakh jal gae hain wo dil tah-e-dam bujh gae hain