jaise hum aate hain khidmat mein sabhi aaya karen lekin ai jaan-e-karam jab hum chale jaya karen mera zikr aate hi chup hone ka koi muddaa kuchh to aakhir wo mere bare mein farmaya karen sab hain waise aur koi bhi nahin is shahr mein ye kahin jaane ki basti hai kahan jaya karen sab hain waise aur koi bhi nahin is shahr mein ye kahin jaane ki basti hai kahan jaya karen tishnagi bhi maslahat hai lekin andaze ke sath zarf wale ab hamein itna na tarsaya karen kal se kuchh galiyon mein baaten ho rahi hain aur idhar hum bhi ab thahrenge kam wo bhi guzar jaya karen hum to qisse kahte kahte thak gae chup ho gae ab hamari dastanen log dohraya karen mujh ko ghar ki raunaqon ne ye na di hogi dua tere sar par umr bhar tanhaiyan saya karen kya tasalli dun ab is arman-e-tiflan par ki aap koi din to raat se pahle bhi ghar aaya karen ho shumar apna bhi aasuda-nasibon mein agar aagahi ke zakhm bazaron mein bik jaya karen 'mahshar' achchha hai khayal-e-rasm-o-rah-e-dil magar baat nazuk hai zaban par soch kar laya karen