milte hain muskura ke agarche tamam log mar mar ke ji rahe hain magar subh-o-sham log ye bhuk ye hawas ye tanazzul ye wahshaten tamir kar rahe hain ye kaisa nizam log barbaadiyon ne mujh ko bahut surkh-ru kiya karne lage hain ab to mera ehtiram log inkar kar raha hun to qimat buland hai bikne pe aa gaya to gira denge dam log is ahd mein ana ki hifazat ke waste phirte hain le ke hath mein khali niyam log baithe hain khud hi panw mein zanjir dal kar hairan hun buzdili ke hain kitne ghulam log kis kis ka e'tibar karen shahr mein 'nafas' chehre badal badal ke mile hain tamam log