jaise koi rota hai gale pyar se lag kar kal raat main roya teri diwar se lag kar har ek ke chehre pe hai tashwish numayan baithe hain masiha tere bimar se lag kar phulon ki mohabbat ne sabaq mujh ko sikhaya zakhmi jo hue hath mere khar se lag kar ghammazi-e-khushbu pe khula raaz chaman mein guzri hai saba gesu-e-dildar se lag kar jab jab dil-e-wahshi ko tere gham ne sataya hum baith gae zanu-e-ghamkhwar se lag kar samjha use phulon ki nawazish dil-e-sada jo zakhm laga nok-e-sar-e-khar se lag kar 'ejaz' koi shauq nahin sair-e-jahan ka aaram se baithe hain dar-e-yar se lag kar