aaj muqabla hai sakht mir-e-sipah ke liye ho gae sar kai qalam ek kulah ke liye taza-rukhi-e-kaenat dhund rahi hai aaina justuju hai hazar mein ek gawah ke liye khul hi gaya tilism-e-dost ain visal mein ki thi ek shab-e-hijr zindagi lazzat-e-ah ke liye ek shab-e-khud-numai mein ismat-e-be-maqam ne kitne sawal kar liye ramz-e-gunah ke liye surat-e-gard-e-karwan hai gham-e-manzil-e-jahan khwab-e-junun-e-taza-kar chahiye rah ke liye aatish-e-kimiya-garan kaam na aa saki koi surma hai khak-e-dil meri chashm-e-siyah ke liye meri khud-agahi bhi ki tere visal ne talab hijr-e-hazar-shab ke baad ek gunah ke liye