jaise yaad-e-imbisat-o-gham shakebai ke baad der tak rote rahe hum bazm-arai ke baad ai sarisht-e-shauq ab napaid ho kar dekh le aur kya hona hai is hone ki ruswai ke baad is qadar saffak kab thi waqt ki be-manzari kor-chashmi se bhi badh kar dukh hain binai ke baad khud ko pa lene ki hasrat mein bahut ruswa hue kuchh siwa ruswaiyan hain ab shanasai ke baad be-masafat ek safar dar-pesh rahna chahiye sochte hain umr bhar ki jada-paimai ke baad kal main khud se silsila-dar-silsila milta raha aalam-e-tanhai jaise dasht-e-tanhai ke baad hai wahi sahra magar shadab kitna ho gaya rah-nawardan-e-junun ki aabla-pai ke baad dil mein ab pahli si wo gunjaishen baqi nahin pahle ek dalan aa jaana tha angnai ke baad