is arsa-e-mahshar se guzar kyun nahin jate jine ki tamanna hai to mar kyun nahin jate ai shahr-e-kharabaat ke aashufta-mizajon jab tut chuke ho to bikhar kyun nahin jate is dard ki shiddat bhi numu-khez bahut hai jo zakhm hain sine mein wo bhar kyun nahin jate hum moatakif-e-dasht-e-aziyyat to nahin hain pairon se masafat ke bhanwar kyun nahin jate jab aae hain maqtal mein to kya laut ke jaana ab apne lahu mein hi nikhar kyun nahin jate jab dub ke marna hai to kya soch rahe ho in jhil si aankhon mein utar kyun nahin jate ye bhi koi zid hai ki ye 'shahid' ki ana hai jate hain jidhar log udhar kyun nahin jate