jaisi khwahish hoti he kab hota he chhodo bhi ab yar chalo sab hota he hum be-kar hi sahme sahme rahte hain jo hona hota hai jab jab hota he meri budhi dadi aksar kahti thin koi nahin hota jis ka rab hota he dil basti ko ujde barson bit gae yaad charaghan ab bhi har shab hota he sare shaer sher kahan kah pate hain aksar to lafzon ka kartab hota he