jal gae afkar tere meri tahriren jalin ab numaish kis ki hogi sari taswiren jalin jin ki buniyaadon mein ek taqdis thi tahzib thi aaj mere shahr ki wo sari tamiren jalin ye to zindan ke nigahban hi bataenge tumhein kin asiron ne lagai aag zanjiren jalin aatishin sahra mein mere khwab to mahfuz the ye nahin malum kis gulshan mein ta'biren jalin ab to phirta hai 'wafa' khana-ba-doshon ki tarah jo milin thin us ko wirse mein wo jagiren jalin