jal kar bujhte lawe bah kar aaKHir patthar ho jate hain

jal kar bujhte lawe bah kar aakhir patthar ho jate hain
nadiyon ko thukrane wale sahil banjar ho jate hain

nathuni jhumke chudi kardhan bichhue jhanjhar ho jate hain
ek ladki ke sare sukh-dukh us ke zewar ho jate hain

rasm riwayat din-dharm iman bharose wale hi kyon
ishq mein jine marne wale bhi paighambar ho jate hain

apna aap bayan karne ke sau maqul tariqon mein se
khamoshi ko chunne wale umda shair ho jate hain

but ke aage dhyan lagae baithe rahte hain diwane
ishq nibhate rahne wale dil puja-ghar ho jate hain

aap hamare sath nahin rah sakte ho gar aisa hai to
aap hamare bhitar rah len aur hum bahar ho jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close