jal kar un aankhon mein aansu jab kajal ban jate hain dil se uth kar reg bagule dal baadal ban jate hain koi sachchi baat zaban par jab bhi kabhi aa jati hai wo sahra ho ya gulshan ho sab maqtal ban jate hain jab bhi zehn mein jag uthti hai in honton ki shirini kaise kaise talkh masail jaan ghazal ban jate hain us se ziyaada kya hoga arbab-e-mohabbat ka izhaar wo bekal ho jate hain to sab bekal ban jate hain hum ne sadiyon ki diwaron mein jo rakhne dale the un se guzarne wale lamhe taj-mahal ban jate hain