kachche rang utar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai sare khwab bikhar jaen to sab kuchh yun hi lagta hai ret ka dher nazar aate hain shahr ke sare pukhta ghar chikhon se dil dar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai talwon mein sine ki dhadkan honton par muddat ki pyas jab hum jaan-nagar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai bhige bhige chand sitare shabnam rut nila aakash us ke baal sanwar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai kursi mez kitaben? bistar anjaane se takte hain der se apne ghar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai tuti kashti dur kinara zehn mein kuchh guzre qisse hum jab bich bhanwar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai