jal ke rakh hone ki koshishen nahin hotin der-pa bahut dil ki khwahishen nahin hotin khud-ba-khud hi khulte hain dil mein phul khushiyon ke dil ko shad rakhne ki kawishen nahin hotin dost bhi safon mein hain aur apne dushman bhi kaamyab phir kaise sazishen nahin hotin takht-o-taj mange se kab kisi ko milta hai dil ki baadshahi mein bakhshishen nahin hotin ek justuju dil ko muztarib si rakhti hai be-sabab to qismat ki gardishen nahin hotin haal apna aa ke khud wo hamin ko batlaen hum se un ki ja ke to pursishen nahin hotin moajizon pe zinda hain aur duaen karte hain hijraton ke mausam mein barishen nahin hotin