hamari sada-dili thi tumhaari baat nahin hamin mein koi kami thi tumhaari baat nahin hamare apne hi dukh the hamin ko rona tha tumhaari apni khushi thi thi tumhaari baat nahin azab sare jujun-o-khirad ke mere the tumhein to be-khabari thi tumhaari baat nahin tumhaari baat hi manenge aur nibhaenge ye baat tum ne kahi thi tumhaari baat nahin bahut tawil thi muddat firaq lamhon ki kahan pe aa ke ruki thi tumhaari baat nahin sitare jaise falak se utar ke aae the hatheli jal ke bujhi thi tumhaari baat nahin wo zikr tha kisi barish ki raat ka shayad nazar mein aa ke ruki thi tumhaari baat nahin