jal ragon ka gunj lahu ki sans ke tewar bhul gae kitni fanaen kitni baqaen apne andar bhul gae janam janam tak qaid raha ek be-mani angdai mein main hun wo mehrab jise mere hi patthar bhul gae jaane kya kya git sunae gardish ki sargoshi ne be-chehra sayyare mujh mein apna mehwar bhul gae biti hui sadiyon ka tamasha aane wale kal ka bhanwar aate jate lamhe mujh mein apna paikar bhul gae ab bhi chaaron samt hamare duniyaen harakat mein hain hum bhi be-dhyani mein kya kya jism ke bahar bhul gae dur kinaron ki reton par khoj rahe hain aaj 'riyaz' kis ki suni aankhon mein hum apne samundar bhul gae