main dil-zada hun agar dil-figar wo bhi hain ki dard-e-ishq ke ab dawedar wo bhi hain hua hai jin ke karam se dil o nazar ka ziyan ba-faiz-e-waqt mere gham-gusar wo bhi hain shahid jazbon ki fahrist kya murattab ho shumar mein jo nahin be-shumar wo bhi hain dil-e-tabah! ye aasar hain qayamat ke rahin-e-gardish-e-lail-o-nahaar wo bhi hain harim-e-husn ki tazin the jo paikar-e-naz ba-haal-e-zar sar-e-rahguzar wo bhi hain wo jin se aam hui dastan-e-ahd-e-junun tere gunah dil-e-na-karda-kar wo bhi hain