jal raha hun to ajab rang o saman hai mera aasman jis ko samajhte ho dhuan hai mera le gai bandh ke wahshat use sahra ki taraf ek dil hi to tha ab wo bhi kahan hai mera dekh le tu bhi ki ye aakhiri manzar hai mera jis ko kahte hain shafaq rang-e-ziyan hai mera apna hi zor-e-tanaffus na mita de mujh ko in dinon zad pe meri khema-e-jaan hai mera zarra-e-khak bhi hota hai kabhi bar-e-giran kabhi lagta hai ki ye sara jahan hai mera ab ufuq-ta-ba-ufuq mein hun har aaine mein jaise har samt o jihat aks-e-rawan hai mera ruk gaya aa ke jahan qafila-e-rang-o-nashat kuchh qadam aage zara badh ke makan hai mera