jal raha tha dil charagh-e-arzu khamosh tha hum the waqf-e-hasrat-e-didar wo ru-posh tha mere nalon ne to mahshar aaj hi barpa kiya husn to roz-e-azal se hashr dar aaghosh tha hum jawan ho kar agar madhosh hain to kya ajab marne jine ka ladakpan mein hamein kab hosh tha kaise kaise gul khilae ek musht-e-khak ne meri barbaadi mein poshida numu ka josh tha uff shab-e-furqat ki haibatnak tariki 'hayat' main misal-e-shama jalta tha magar khamosh tha