jawon se ayan teri haqiqat nahin hoti aaine mein aaine ki surat nahin hoti kya shad rahe dahr mein bashinda adam ka pardes mein ji lagne ki surat nahin hoti murjhae hue dil pe jamin kis ki nigahen kumhlae hue phul ki qimat nahin hoti pabandi-e-ain se majbur hain warna darban ko asiron se adawat nahin hoti main qaid mein hun aur tasawwur mera bahar majbur ki majbur tabiat nahin hoti sab kahte hain aaina-sifat hai ye dil apna aur aaine mein gard-e-kudurat nahin hoti