jal rahi thi ek diye mein raat kheme se alag tapte the do parinde hat kheme se alag mund rahi thin nind se aankhen shikasta taq mein padh rahi thi raushni tauraat kheme se alag ek thathurti raat aatish-dan mein bujhta badan main alag tha aur meri zat kheme se alag ug rahe the mere honton se muqaddas harf-o-saut padh raha tha main nabi ki nat kheme se alag bun raha tha main gire patton se mausam ka libas us ne likkha tha ki manzar kat kheme se alag