koi hunar to meri chashm-e-ashk-bar mein hai ki aaj bhi wo kisi khwab ke khumar mein hai kisi bahaar ka manzar hai chashm-e-viran mein kisi gulab ki khushbu dil-e-figar mein hai ajab taqaza hai mujh se juda na hone ka ki jaise kaun-o-makan mere ikhtiyar mein hai nishan-e-rah bhi thahrega barishon ke baad abhi ye naqsh kisi rah ke ghubar mein hai ufuq ke aks kisi aaine mein kya simtin ki shauq-e-jalwa abhi apne intishaar mein hai makan ki koi khabar la-makan ko kaise ho safir-e-ruh abhi jism ke hisar mein hai kamal-e-zabt ki saat kahin guzar bhi ja sitara-e-shab-e-gham mere intizar mein hai