jala diya hai ki is ne bujha diya hai mujhe pa dil ki aag ne kandan bana diya hai mujhe teri talab ki ata hai ki jis ne misl-e-charagh hawa-e-dahr mein jalna sikha diya hai mujhe main sab se dur faqat apne aap mein gum tha kisi ke qurb ne sab se mila diya hai mujhe main ek zarra-e-nachiz kaenat mein tha ye kaenat sa kis ne bana diya hai mujhe so ab main ohda-e-duniya se kya gharaz rakhun kisi ne mansab-e-dil par bitha diya hai mujhe tamam umr jo rakkhega zist ko raushan teri nazar ne wo manzar dikha diya hai mujhe main ek dasht tha khud apne hi sarab mein gum bas ek mauj ne dariya bana diya hai mujhe