kabhi khuda kabhi khud se sawal karte hue main ji raha hun musalsal malal karte hue magan tha kar-e-mohabbat mein is tarah ki mujhe khabar na ho saki apna ye haal karte hue kise bataun guzara hai main ne bhi ek daur misal hote hue aur misal karte hue wo jazb-o-shauq hi aakhir azab-e-jaan thahra haram ho gaya jina halal karte hue na koi ranj un aankhon mein tha dam-e-rukhsat na thi zaban mein luknat sawal karte hue ye kaam us ke liye jaise masala hi na tha wo pur-sukun tha kar-e-muhaal karte hue tamam umr jo lau den mujhe rakhen aabaad gaya wo aise ghamon se nihaal karte hue