jala ke apne badan ko dhuan hua tha main bikhar bikhar ke zaman-o-makan hua tha main tumhaare shahr ke suraj se kaun darta hai ghamon ki dhup mein jal kar jawan hua tha main samundaron ne mujhe kitne bhed samjhae zamin pe phail ke jab be-karan hua tha main waraq waraq ne mere hath mein qalam saunpa ghazal ke shahr mein jab be-zaban hua tha main hisar-e-dard se nikla to yun hua taqsim kahin zamin kahin aasman hua tha main nai sadi ke ujale samet kar ai 'saba' nae ufuq ki taraf hi rawan hua tha main