khayalon mein tera chehra nahin tha tujhe chahun main ye achchha nahin tha nigahen aasman ki mujh pe kyon hain mera qad to yahan uncha nahin tha gawahi de ke main mujrim bana hun mere lab ka safar jhuta nahin tha kahan ye martaba hai sab ko hasil mera jo ijz tha sajda nahin tha nai khushbu nai aab-o-hawa hai main apni qabr mein tanha nahin tha hamara nam kya hai kaun hain hum tumhaare shahr se nata nahin tha