jala kyon shama par parwana aakhir batae kya koi diwana aakhir haram ko kaise jaun shaikh sahib padega rah mein mai-khana aakhir kise idrak tha hosh-o-khirad ka junun tak rah gaya diwana aakhir badi aatish-maza thi tez aandhi salamat rah gaya khas-khana aakhir 'jamil' aazar-parasti ka junun tha tumhein ras aa gaya but-khana aakhir