jalae jab shola-e-tahayyur to zehn DhunDhe panah kis ki

jalae jab sho'la-e-tahayyur to zehn dhundhe panah kis ki
ye kis ke ma'ni hue hain sabit ye suraten hain gawah kis ki

ye chashm-e-laila kahan se aai ye qalb-e-mahzun kahan se ubhra
jo ba-khabar hain unhen khabar hai nigah kis ki hai aah kis ki

jamal-e-fitrat ke lakh partaw qubul-e-partaw ki lakh shaklen
tariq-e-'irfan main kya bataun ye rah kis ki wo rah kis ki

ye kis ke 'ishwon ka samna hai ki lazzat-e-hosh ho gai gum
khudi se kuchh ho chala hun ghafil padi hai mujh par nigah kis ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close