jalan ke khauf se bahar nikal sako to chalo bichhi hai dhup hi raston mein chal sako to chalo yahi taqaza hai is bar bhi mohabbat ka badan pe gard-e-safar ko jo mal sako to chalo jala ke zillat-e-shab mein hatheliyon pe charagh hawa ke rukh ko agarche badal sako to chalo mila hai izn-e-masafat kade andheron mein kisi charagh ki lau mein jo dhal sako to chalo khayal rakhna ajal aakhiri padaw nahin azab-e-umr se bahar nikal sako to chalo bahut hi tedha hai ai dost ishq ka rasta baghair rah-numa ke sambhal sako to chalo is ek shart pe gulshan mein dakhila hoga kisi gulab ke sanche mein dhal sako to chalo har ek gam pe bikhri hai rakh sadiyon ki 'nabil' ban ke sharara jo jal sako to chalo