waqt khush-khush katne ka mashwara dete hue ro pada wo aap mujh ko hausla dete hue us se kab dekhi gai thi mere rukh ki murdani pher leta tha wo munh mujh ko dawa dete hue khwab-e-be-tabir si sochen mere kis kaam ki sochta itna to wo dast-e-ata dete hue be-zabani bakhsh di khud-ehtisabi ne mujhe hont sil jate hain duniya ko gila dete hue apni rah masdud kar dega yahi badhta hujum ye na socha har kisi ko rasta dete hue aap-apne qatl mein shamil tha main maqtul-e-shauq ye khula mujh par talab ka khun-baha dete hue wo hamein jab tak nazar aata raha takte rahe gili aankhon ukhde lafzon se dua dete hue jaane kis dahshat ka saya us ko mohr-e-lab hua dar raha hai wo mujhe khul kar sada dete hue be-aman tha aap lekin moajaza hai ye 'riyaz' haala-e-shafqat tha us ko aasra dete hue