jale hain dil na charaghon ne raushni ki hai wo shab-paraston ne mahfil mein tirgi ki hai hadis-e-zulm-o-sitam hai hanuz na-gufta hanuz mohr zabanon pe khamushi ki hai us ek jam ne saqi ki jo ata thahra sukun diya hai na kuchh dard mein kami ki hai hamein ye naz na kyun ho ki nai-nawaz hain hum hamare honton ne ijad naghmagi ki hai chaman mein sirf hamin raazdan hain kanton ke gulon ke sath basar hum ne zindagi ki hai firaq-e-yar ne bakhshi hai wasl ki lazzat khayal-e-yar ne zulmat mein raushni ki hai hain jis ki did se mahrum aaj tak 'khawar' usi ki hum ne tasawwur mein bandagi ki hai