aahon mein sharar le kar jaun to kahan jaun jazbon ka bhanwar le kar jaun to kahan jaun har samt khudaon ke aaine hain istada gustakh-nazar le kar jaun to kahan jaun main zahr-e-halahal ka qail to nahin lekin nasur-e-jigar le kar jaun to kahan jaun dushman hai hua jaani barish bhi hai tezabi jalta hua ghar le kar jaun to kahan jaun sunta hun ki sajde mein hai qurb-e-khudawandi firaun ka sar le kar jaun to kahan jaun sayyaad ke kuche se har rah guzarti hai ab izn-e-safar le kar jaun to kahan jaun hassas zamane mein aamal ki waqat hai lafzon ka hunar le kar jaun to kahan jaun