jalta nahin aur jal raha hun kis aag mein main pighal raha hun mafluj hain hath panw mere phir zehn mein kyun ye chal raha hun ek bund nahin lahu ki baqi kis baat par main machal raha hun tum jhut ye kah rahe ho mujh se main bhi kabhi be-badal raha hun kyun mujh se hue gunah sarzad kahne ko to be-amal raha hun rai ka bana ke ek parbat ab us pe yunhi phisal raha hun kis hath se hath main milaun ab apne hi hath mal raha hun kyun aaina bar bar dekhun main aaj nahin jo kal raha hun ab kaun sa dar raha hai baqi is dar se main kyun nikal raha hun qadmon ke tale to kuchh nahin hai kis chiz ko main kuchal raha hun ab koi nahin raha sahaara main aaj phir se sambhal raha hun main kyun karun aasman ki khwahish ab tak to zamin pe chal raha hun ye barf hatao mere sar se main aaj kuchh aur jal raha hun mujh ko na pilao koi pani pyason ke main sath chal raha hun khane ki nahin rahi talab kuchh ab bhuk ke bal pe pal raha hun