kis dasht-e-talab mein kho gae hum saya jo mila to so gae hum lo aaj bhula diya tumhein bhi lo aaj tumhaare ho gae hum ai shama-e-firaq bujh chuki shab ai saat-e-wasl so gae hum phir apna nishan kahin na paya uth kar tere sath to gae hum yun subh ke bhule apne ghar ko laute hain ki aur kho gae hum jab aankh khuli to hum nahin the jage hain ki khwab ho gae hum ashkon ne ajib gul khilae kya naqsh-o-nigar bo gae hum khoya hai use to khud ko paya paya hai use to kho gae hum