jalta raha charagh yaqin-o-guman ka

jalta raha charagh yaqin-o-guman ka
lekin hua na dur andhera makan ka

gandum ki baaliyon se bahut raushni hui
is raushni se qarz na utra kisan ka

aanchal kisi ka tez hawa ne uda diya
kashti se rabta na raha baadban ka

zakhm-e-nawazishat mahakta raha sada
dekha koi gulab na is aan-ban ka

'fakhir' jami hui hai abhi tak wahin nigah
malba pada hua hai jahan us makan ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close