e'tibar-e-arzu ka karr-o-far jata raha dil se irfan-e-mohabbat ka asar jata raha shama soz-e-gham ka qissa raat bhar kahti rahi de ke parwana payam-e-mukhtasar jata raha ahd-e-rafta ko na dekha laut kar aate hue e'tibar-e-gardish-e-sham-o-sahar jata raha ho sakega phir na saiqal jauhar-e-kirdar-e-zist gar jahan se e'tibar-e-khair-o-shar jata raha e'tibar-e-arzu-e-mukhtasar baqi sahi e'tibar-e-jazba-e-fikr-o-nazar jata raha mushkilat-e-ishq ka uqda na phir bhi wa hua nama-bar aata raha aur nama-bar jata raha fikr-e-besh-o-kam ke 'farigh' marhale tai ho gae dil se ehsas-e-gham naf-o-zarar jata raha