jalwa afroz hai kabe ke ujalon ki tarah dil ki tamir ki kal tak thi shiwalon ki tarah aql-e-warafta ke be-nur bayabanon mein hum bhatakte rahe aawara khayalon ki tarah hum ki is bazm mein hain saya-e-gham ki surat kaun dekhega hamein zohra-jamalon ki tarah hath badhta nahin rindon ka hamari jaanib hum kharabaat mein hain khali pyalon ki tarah jab koi khar-e-sitam dil mein utar aata hai phut kar rota hai dil panw ke chhaalon ki tarah jab bhi padhta hun kitab-e-gham-e-hasti ai dil tazkira un ka bhi milta hai hawalon ki tarah soz-o-ehsas ki taswir hai qalb-e-shaer naghme takhliq hua karte hain nalon ki tarah arsa-e-dahr mein ki hum ne basar 'yazdani' zulmat-e-shab ki tarah din ke ujalon ki tarah