kaise har dard ko sine mein chhupae rakkhen

kaise har dard ko sine mein chhupae rakkhen
aur honton pe tabassum ko sajae rakkhen

jo the apne wo zamana hua sab chhod gae
kab talak bazm ko ghairon se sajae rakkhen

ye suna hai ki wahan der hai andher nahin
to chalo bahr-e-dua hath uthae rakkhen

jab ye chhat jaenge baadal to kiran phutegi
shama ummid ki ek hum bhi jalae rakkhen

yun to bhule se bhi ab yan na koi aaega
ehtiyatan hi magar ghar ko sajae rakkhen

dil mein soi hui chingari ne karwat li hai
ab to is aag se daman ko bachae rakkhen

hoga 'nikhat' se moattar ye chaman bhi ek roz
bas teri yaad ke paudon ko lagae rakkhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close