jalwa ayan hai qudrat-e-parwardigar ka kya dil-kusha ye scene hai fasl-e-bahaar ka nazan hain josh-e-husn pe gul-ha-e-dil-fareb joban dikha raha hai ye aalam ubhaar ka hain didani banafsha o sumbul ke pech o tab naqsha khincha hua hai khat-o-zulf-e-yar ka sabza hai ya ye aab-e-zamurrad ki mauj hai shabnam hai bahr ya guhar-e-abdar ka murghan-e-bagh zamzama-sanji mein mahw hain aur nach ho raha hai nasim-e-bahaar ka parwaz mein hain titaryan shad o chust o mast zeb-e-badan kiye hue khilat bahaar ka mauj-e-hawa o zamzama-e-andalib-e-mast ek saz-e-dil-nawaz hai mizrab-o-tar ka abr-e-tunak ne raunaq-e-mausam badhai hai ghaza bana hai ru-e-urus-e-bahaar ka afsos is saman mein bhi 'akbar' udas hai suhan-e-ruh hijr hai ek gul-e-ezar ka