gard ne khema tan liya tha dhup ka shisha dhundla sa tha nikhat-o-nur ko rukhsat karne baadal dur talak aaya tha gae dinon ki khushbu pa kar main dobara ji uttha tha soti jagti gudiya ban kar tera aks mujhe takta tha waqt ka thathen marta sagar ek hi pal mein simat gaya tha jangal dariya khet ke tukde yaad nahin ab aage kya tha nil gagan se ek parinda pili dharti par utra tha