jalwa be-maya sa tha chashm-o-nazar se pahle zist ek hadsa thi qalb-o-jigar se pahle husn ke soz-e-numaish ka hai inam-e-hayat waqt bhi waqt na tha shams-o-qamar se pahle wahi utri dil-e-betab ki tashkil ke baad ishq tamir hua ilm-o-hunar se pahle ain firdaus mein jal uttha tha aadam ka shabab aag barsi thi yahin dida-e-tar se pahle phir kahin dil ke siwa un ko aman hi na mili but nikale gae allah ke ghar se pahle zindagi mazra-e-taklif-o-sukun hai 'afzal' sham ugti hai yahan nur-e-sahar se pahle