yahi hua hai jo us rahguzar se guzre hain hazar hashr ke manzar nazar se guzre hain wo rahen aaj bhi naqsh-e-wafa se hain raushan mizaj-dan-e-mohabbat jidhar se guzre hain khuda kare na wo guzren kisi ki nazron se jo sail-e-dard-o-bala mere sar se guzre hain chhupae aankhon mein aansu dilon mein dard-o-fughan wafa shanas yunhi tere dar se guzre hain talash-e-yar mein hum kya daren musibat se hazar bar rah-e-pur-khatar se guzre hain khila gae hain mohabbat ke phul kanton mein tumhaare chahne wale jidhar se guzre hain dil-o-jigar mein ujala hai aaj tak jin ka kuchh aise jalwe bhi 'kashfi' nazar se guzre hain