jalwa dikha ke guzra wo nur didgan ka tarik kar gaya ghar hasrat-e-kashidgan ka gham yar ka na bhule so bagh agar dikha den kab dil chaman mein wa ho matam-rasidgan ka rang-e-hina pe tohmat us lala-ru ne bandhi hathon mein mal ke aaya khun dil-tapidgan ka ahl-e-qubur upar wo shokh kal jo guzra betab ho gaya dil khak-armidgan ka yun 'mir' se suna hai wo mast-e-jam 'bedar' tah kar gaya musalla uzlat-uzidgan ka