jata hai mere ghar se dil-dar khuda-hafiz hai zindagi ab mushkil be-yar khuda-hafiz wo mast-e-sharab-e-husn ghusse se nihayat hi khinche hoe aata hai talwar khuda-hafiz mujh pas tabib aa ke kahne laga ai yar be-tarah ka hai is ko aazar khuda-hafiz hasil nahin darman ka wo hai ye maraz jas se jaan-bar na hua koi bimar khuda-hafiz be-tarah kuchh idhar ko wo mast-e-sharab-e-husn khinche hue aata hai talwar khuda-hafiz ai shaikh tu us but ke kuche mein to jata hai ho jae na ye subha zunnar khuda-hafiz darta hun ki dil har dam malta hai na ho jawe us chashm-e-sitam-gar ka bimar khuda-hafiz yun mehr se farmaya us mah ne waqt-e-subh hum jaane hain ab tera 'bedar' khuda-hafiz