jalwa dikhlae jo wo apni khud-arai ka nur jal jae abhi chashm-e-tamashai ka rang har phul mein hai husn-e-khud-arai ka chaman-e-dahr hai mahzar teri yaktai ka apne markaz ki taraf mail-e-parwaz tha husn bhulta hi nahin aalam teri angdai ka uf tere husn-e-jahan-soz ki pur-zor kashish nur sab khench liya chashm-e-tamashai ka dekh kar nazm-e-do-alam hamein kahna hi pada ye saliqa hai kase anjuman-arai ka kal jo gulzar mein hain gosh-bar-awaz 'aziz' mujh se bulbul ne liya tarz ye shewai ka