jam khali jahan nazar aaya meri aankhon mein khun utar aaya wo bahut kam kisi ne dekha hai mujh ko jo kuchh yahan nazar aaya jhuk gae aasman sajde mein kaun ye apne baam par aaya kanp utha charkh hil gai duniya wo jahan apni baat par aaya us ne puchha mizaj kaisa hai dil jo umda hua tha bhar aaya jab kabhi us ne ki nazar mujh par ek chhaala naya ubhar aaya teri jaanib se hoshiyar gaya apni jaanib se be-khabar aaya jab kiya qasd-e-zabt-e-ah 'aziz' dil mein chhaala sa ek ubhar aaya