jalwa-e-dost kisi waqt bhi ru-posh nahin hae mahrumi-e-qismat ki hamein hosh nahin aap ehsan ke andaz to sikhen pahle fitrat-e-ishq bhi ehsan-faramosh nahin sirf wo log hi diwana samajhte hain mujhe aaj is daur mein apna bhi jinhen hosh nahin wo meri baada-parasti ko abhi kya jaane jo meri tarah abhi mai-kada-bar-dosh nahin jam uthata hun tere hukm se mahfil mein mudam main bala-nosh nahin hun main bala-nosh nahin saqi-e-bazm teri mast-nigahon ka asar dil pe kis waqt hua tha ye mujhe hosh nahin wo bhi kahte hain mujhe main jinhen kahta hun 'aziz' hosh ab un ko nahin hai ki mujhe hosh nahin