jalwa-gah-e-dil mein marte hi andhera ho gaya jis mein the jalwe tere wo aaina kya ho gaya jab tasawwur ne badha di nala-e-mauzun ki lai saz-e-be-awaz se ek sher paida ho gaya najd ke hirnon se eajaz-e-mohabbat pochhiye pad gai jis par nigah-e-qais laila ho gaya jaan de di main ne tang aa kar wufur-e-dard se aaj mansha-e-jafa-e-dost pura ho gaya ab kahan mayusiyon mein zabt ki gunjaishen wo bhi kya din the ki tera gham gawara ho gaya dil khincha jitna qafas mein aashiyane ki taraf dur utna hi qafas se aashiyana ho gaya rafta rafta ho gae jazb us mein jalwe sainkadon dil mera 'simab' taswir-e-sarapa ho gaya