rasta chahiye dariya ki farawani ko hai agar zoam to le rok le tughyani ko aaina tut gaya shakl ke zarre bikhre kya chhupata hai ab is dasht ki virani ko aab-yari jo hui hai to shajar bhi honge tu ne samjha tha ghalat khun ki arzani ko le ye tufan teri dahliz tak aa pahuncha hai barf samjha tha usi thahre hue pani ko surakh-ru hun ki main is aag se kundan nikla shoala-e-khun ne ujala meri peshani ko main utar aaya hun us par jahan maut nahin mil gaya jism-numa ruh ki uryani ko waqia aam hua dhup ki kirnon ki tarah dekh le hath laga kar meri tabani ko phir nai fasl ka mausam hai dua kar 'shahid' abr sairab kare khitta-e-barani ko