jalwa-gar us ka sarapa hai badan aaine mein nazar aata hai hamein sarw-e-chaman aaine mein sina-safon se khabar aalam-e-alwi ki to puchh arsh o kursi hai yahan aks-fagan aaine mein tab-e-azurdagi kab hai dil-e-ashiq ko yahan chin-e-peshani se padti hai shikan aaine mein chashm-e-bimar se tapke tha lahu dekhte waqt palken hiliyan to pada zor hi ran aaine mein le liya pyar se aks apne ka jhuk kar bosa us ne dekha jo wo pan-khurda dahan aaine mein abraq-e-sokhta sa kyun na nazar aae jo ho aatish-e-husn teri saiqa-zan aaine mein dam mein lawen wo ta aks ki tere taswir zulfen phenkin hain do jaanib se rasan aaine mein aab-e-ju ka hai ye aalam ki nazar aata hai lal-e-rummani sa har gul ka baran aaine mein dil-e-mayus ko pahne hue aati hain nazar saikadon hasrat-e-didar kafan aaine mein aaina dekhte pichhe se jo main aa nikla aks par aks hua saya-fagan aaine mein thi to aazurdagi muddat se pa wo ruthe hue bin manae gae be-sakhta man aaine mein 'mushafi' kyun na kahe tujh ko koi tuti-e-hind jab tu is waza kare fikr-e-sukhan aaine mein