har jazr-o-mad se dast-o-baghal uthte hain kharosh kis ka hai raaz bahr mein yarab ki ye hain josh abru-e-kaj hai mauj koi chashm hai habab moti kisi ki baat hai sipi kisi ka gosh un mughbachon ke kuche hi se main kya salam kya mujh ko tauf-e-kaba se mein rind-e-dard-nosh hairat se howe partaw-e-mah nur aaina tu chandni mein nikle agar ho safed-posh kal hum ne sair-e-bagh mein dil hath se diya ek sada gul-farosh ka aa kar sabad ba-dosh jata raha nigah se jun mausam-e-bahaar aaj us baghair dagh-e-jigar hain siyah-posh shab is dil-girafta ko wa kar ba-zor-e-mai baithe the shira-khane mein hum kitne harza-kosh aai sada ki yaad karo dur rafta ko ibrat bhi hai zarur tak ai jama tez hosh jamshed jis ne waza kiya jam kya hua we nasihaten kahan gain kidhar we naw-nosh juz lala us ke jam se pate nahin nishan hai kokanar us ki jagah ab subu ba-dosh jhume hai bed ja-e-jawanan mai-gusar baala-e-kham hai khisht sar pair mai-farosh 'mir' is ghazal ko khub kaha tha zamir ne par ai zaban-daraaz bahut ho chuki khamosh